Tuesday, May 19, 2009

Ek pal nahi lagta na zindagi ko khatam karne ke liye? Mauka bhi milta hai. . .gehri chot lagne pa humaare mann mein is tarah ke khayaal aksar aate hain. . .chot do tarah ke hote hai. . .ek jo hamein lagne waali hai, yeh hum jaante hai, aur doosri woh chot jiske lagne se pehle hamein kaano kaan khabar nahi hoti. . .pehli tarah ke chot lagne par dard toh hota hai, par kisi na kisi tarah hum sambhal jaate hain. . .lekin doosre kism ke chot. . .achaanak ek toofaan ki tarah. . .uske aane ka koi bhanak nahi padhti aur jab tak uske aane ka ehsaas hota hai, woh apna kaam kar chuka hota hai. . .haan, waqt ke saath saath woh zakhm bhi bhar jaata hai. . .

Lekin unme se kuch aise hote hai jo kabhi nahi bhar sakte. . .insaan porcelain se bana aisa gudda banke reh jaata jo girke toot gaya ho, waapis jodaa gaya ho, phir bhi usme daraarein hoti hai. . .lekin kya wakai mein har zakhm nahi bhar sakta? Pata nahi. . .kal kisne dekha. . .kya pata jo zakhm hamein aaj itni taqleef de raha hai, kal us hi zakhm ki ek kharonch bhi baaki na rahe? Sirf khud ko sambhaalna zaroori aur honsle aur ummeed ke saath aage badhna. . .par haan, agar koi haath thaamne waala ho toh safar aur bhi aasaan ho jaata hai :) pyaar insaan ko bahut taaqat deta hai. . .khush hoon ki meri zindagi mein pyaar aur saath hai :) zindagi haath se nikal nikalte reh gayi. . . :)