Ek poori zindagi ko do hisson mein baatna padh raha hai. . .ek hissa jo duniya dekh na chahti hai. . .aur doosra hissa, meri apni zindagi :) main kya pehenti hoon, kya khaati hoon, kya paddhti hoon, kahaan paddhti hoon to kahi log jaante hai, lekin main kya sochti hoon, kya chahti hoon, kin logon ko pasand karti, kis tarah ke logon ko pasand karti hoon, kya karna chahti hoon, meri nazar mein azaadi kya hai, yeh sab bahut kam log jaante hain :) nahi, jo nahi jaante, unse koi shikve gile nahi :) bilkul bhi nahi :) kyunki aisa nahi hai ki meri taraf se bhi hamesha koshish rahi hai kisi doosre ko jaan ne ke liye. . .lekin jo jaante hain, unhe to mujh se juda na karo. . .
Is duniya mein do tarah ke log hain. . .ek jo sach jaante hain aur use apnate hain aur doosre woh jo sach to dekh kar nazarandaaz karte hai. . .chhote chhote maamuli maamlon mein nahi, main zindagi ki baat kar rahi hoon. . .mere liye yeh maan na mushkil hai ki log sach nahi jaante. . .log sach dekh na nahi chahte hai. . .aankhon par rangeen chashme pehen kar duniya ko apne aankhon se bhi nahi, apne chashmo se dekhte hain :) doosron ke nazariye se dekhna to door ki baat hai :) kabhi kabhi ghussa aata hai kuch aise logon par, lekin usse zyaada taras aata hai. . .apni duniya se baahar aa kar agar woh dekhein to unhe shaayad yeh ehsaas ho jaaye ki kya unki zindagi mein kisi cheez ki kami hai ya nahi. . .
Duniya se bhale hi ladhna padhe, jhagad na padhe, lekin apni zindagi ko zinda rakhoongi, bhale hi usse zameen ke neeche gaadhna padhe, par udhar se bhi usse saans lena sikhaaongi :)