Naye saal ki shuruwaat. . .nayi zindagi ki bhi shaayad. . .haan ek aad mahine mein woh bhi :) par meri nayi zindagi ddeydd saal pehle shuru hui thi. . .ddeyd saal, kehne ko toh ikkees saalon mein se ek chhotta sa hissa. . .par mere liye, bahut hi zyaada keemti. . .is saal ke anth par main in ddeydd saalon ki aur peeche muddh ke dekh rahi hoon. . .kya nahi hua is beech? :) In ddeydd saalon mein sadiyon ka safar tey kiya hai maine :) aisa nahi hai ki bas apni poori zindagi jee chuki is dohraan, par bahut kuch paaya, khoya aur seekha hai maine is beech :) khud se pehchaan hui, kuch naye guru mile aur unse BAHUT seekha :), shukriya shabd kam padd jaata hai :) kahi logon se jaan pehchaan hui :) :) :) kuch khaas log mile :) bahut hi azeez aur dil ke kareeb :) kuch bicchde aur maine girkar sambhalna seekha :) kuch khud kiya, kuch kisi aur ne mere liye kiya :) is dil ne kabhi nafrat karna nahi seekha toh kadwaahat ki toh koi gunjaaish nahi :) par haan, apni ahm galtion ko pehchaana :) ek, khud ki galti ko pehchaana, do, doosron ki galtion ki aur nazar paddhi aur teen, khud ko zaroorat se zyaada saza na dena seekha :) kya karein, bhaavnaaon ko tolna nahi aata :) jo bhi hai, poore dil se hai :) dikhe na dikhe, bahut hi bhaavuk kisam ke insaan hai ham :P aankhein jitni khuli thi, us se zyaada khul gayi :P kahi aur dost banaaye :) aur kuch toh hamesha se the :) bas pehchaan ne ki deir thi :) aur kuch toh achaanak ke kareeb aa gaye :) ruh se is tarah ghul mila gaye ki kya kahoon :) kabhi ek waqt tha is beech jab laga ki sab khatam ho gaya, phir laga zindagi toh ab shuru hui hai :) phir ek darr sa mann mein. . .jo nayi khushi naseeb hui hai, woh pal do pal ki hogi. . .jinhe kareeb aane ki ijaazat di, kahi woh cheer kar door chale gaye toh. . .khair, ab toh woh darr bhi gaya :) aaj mein jeena seekh rahi hoon :) haule haule apne aap ko aur bhi mazboot kar rahi hoon :) mann mein jo bhaadas, darr, taqleef, dard aur kashmakash the, sab ab kaafi hadd tak jaa chuke hai :) reh gaye hai toh yaadein :) aur yaadein rehni chahiye :) gusre hue waqt ko khushi se hamesha dekh sakti hoon :) rishte kahi badal chuke hai, phir bhi :)
Aaj apnon ka saath hai, khud ki pehchaan, lakshya ka andaaza hai, karmon mein sacchaai hai aur dheir saari khushi hai. . .haan par ek tarah se lag raha hai ki maano apna kaccha chitta sabke saamne pesh kar rahi hoon. . .ek tarah se nagn mehsoos kar rahi hoon :) is baat par dasvi kaksha ki ek kavita yaad aa gayi :) un dino, is kavita aur khaas kar ki uski shishak ko lekar ham chutkule maarte the :P par uska asli arth kahi saalon se paschaat samajh aaya :) ‘Tum kyon likhte ho’, uske do bol yaad hain aaj bhi :) ‘Tum kyon likhte ho? Apne mann ke bhaavnaaon ko dikhaane ke liye likhte ho ya chhupaane ke liye likhte ho’ :) :) :) bhai ham toh jaan gaye hai ki ham kyon likhte hai :) agar is naacheez ke is lekhan ko koi bhi insaan ya bhoot paddh raha ho, toh use nav warsh kid heir saari HAARDIK shubh kaamnaayein :) :) :)
Thursday, December 31, 2009
Sunday, December 13, 2009
Kshitij. . .uski khaasiyat yeh hai ki hum uske jitne uske kareeb jaane ki koshish karte hai, woh humse utni hi door jaata rehta hai. . .aise mein insaan kya kare? Uski aur jaane se khud ko rok de? :) Ya is haqeeqat ko pehchaanle ki zindagi mein hum jo chaahte hai, woh hamein hamesha naseeb ho, aisa nahi hota hai. . .dukh ki baat toh yeh hai hum mein se aise kahi log hai jinhe woh cheezein saaf dikhti hai jo unhe nahi mila, par woh cheezein kam dikhti hai jo unke jholi mein hamesha se the. . .yeh soch kar rote hai jisse hum pyaar karte hai, unke liye hum kuch nahi, par yeh nahi dikhta ki theekh humaare bagal mein ek aisa vyakti (aur kabhi, ek se kahi zyaada. . . :)) hai jis ke liye hum hi sab kuch hai. . .aur sab kuch na sahi, par bahut kuch. . .jo hai use thukraakar uski prateeksha karte hai jo humaari kismat mein hi nahi. . . :)
Is sikke ka doosra pehloo yeh hai ki kya hamein aise sochne ka haq nahi? Jisse hum pyaar karein, badle mein unki pyaar ki prateeksha karna galat hai kya? Kya hamein haq nahi yeh abhilaasha karne ka ki apni zindagi mein aise insaan ko paane kya jo sirf humaare liye bana ho? Woh kehte hai, kabhi kabhi duniya bhar ka pyaar bhi kam paddh jaata hai aur us ek insaan ka pyaar mil jaaye toh bahut hai. . .lekin kya aisa pyaar sabko naseeb hot hai? Sochne waali baat hai :) Aur jin abhaaganon ko yeh na mila, woh kya kare? :) Sach poocho toh main nahi jaanti. . .bas itna keh sakti hoon ki pyaar ke kahi roop hai :) maa baap ka pyaar, bhaai behen ka pyaar, bete beti ka pyaar, dost ka, premi ka. . .har rishte mein pyaar ho sakta hai :) bas us har rishte ke har pyaar ko pehchaano. . .aur us har ek pyaar ko apni zindagi mein ahemiyaat do :) woh ek pyaar, woh khaas insaan, zindagi mein aaye toh aaye. . .warna bhaad mein jaaye! :P
Tthehelne ke liye nikal paddhi. . .ek lamba raasta chuna. . .bas 'main aur meri tanhaayee'. . .aur raate mein dekhne ko bahut kuch mila :) ek ghar, phoolon se saji hui :) lagta hai us ghar mein kisi ki haali mein shaadi hui thi. . .kuch doori par bacche khel rahe the :) zameen par kuch gol matol se cheeze banaakar, un par ucchal kood kar :P :) :) wahi aas paas kisi ghar mein sangeet baj raha tha :) phir raaste par mod aaya aur daanyi or muddh gayi. . .kuch doori par apni daanyi or ek ghar dikha. . .neele, laal aur safaid rang ka. . .rang is prakaar chaddaaye gaye the ki dekh kar bachpan mein suni aur paddhi hui ek kahaani yaad aagayi :) lagta hai us ghar par haali mein us ghar par yeh rang chaddaaye gaye the. . .mere baajoo se ek buzhurk gusarte hue gaye. . .haath mein kuch samaan liye. . .lag raha tha ki yeh woh shaayad har subah karte honge. . .chalte chalte daanyi or ek aur ghar dikha. . .woh kabhi ek zamaane ek jaan pehchaan waale ka ghar hua karta tha :) dekh kar ek halki si muskuraahat chehre par aa gayi :) kahi ghar raaste mein :) har ek ghar ki apni kahaani hogi, is baare mein sochte hue chalti gayi. . .is lambe se raaste ke doosre mod ke kuch kadam pehle, baanyi or ek ladka aur ladki baat kar rahe the :) gustaaki maaf, lekin maine kuch baatein sun li :P shaayad unki haali mein mulaaqat hui thi aur ladki shaayad yeh nahi jaanti thi ki ladka kahi aas paas rehta tha. . .ladki khush thi. . .woh ek doosre ke liye kuch mehsoos kar rahe the ya nahi, unke beech mein kya rishta hai, yeh sab main nahi jaanti. . .aur jaan ne ka mujhe adhikaar bhi nahi :) bas dekha, muskuraaya aur chalti gayi :)
Do aur mod ke baad ek janaab gaadi chalaate hue mere saamne se guzar rahe the. . .gaadi haddbaddaakar chala rahe the. . .shaayad raaste se anjaan the. . .ya phir unhe koi aur pareshaani thi. . .Ram jaane. . .chalte chalte apni manzil kab pahunchi, pata hi nahi chala. . . :) jis raate par kahi baar safar kar chuki, us raaste ko aaj itne ghaaur se dekha :) kaan mein sangeet bajaaye baghair, nazar kisi dost ke sandhesh par rakhe baghair :) nazar, kaan, sab purn roop se raaste par rakhte hue :)
Phir wahi khwaab. . .phir wahi daastaan. . .baar baar. . .jis kisse ke baare mein din ke ujale mein vichaar karna bandh kar diya tha, unhe raat ke andhere mein, apne khwaabon dekh ti hoon. . .ek bada sawaal. . .kyun? Jo dekh rahi hoon, uska kya matlab hai? Jo jaisa dikh raha hai, kya baat wahi hai, ya is sapne ka koi aur hi arth hai, jo main dekh nahi paa rahi? Jiski ichha apni zindagi ke haqiqat mein chhod chuki hoon, uske sapne? Kuch toh baat hai. . .bahut socha is baare mein. . .kahi woh mere aane waali zindagi ki chhavi toh nahi? Ya hai mere aaj ka saboot? Jab sapna tha, tab jo bhi ho raha tha, use hone diya. . .aur main dukhi bhi na thi. . .sirf aashcharya chakit. . .aur beech mein kisi ko pukaara. . .par woh koi aur nikla. . .
Subah utthi toh sapne ke baare mein soch kar utthi. . .ek ajeeb sa dard, kuch tanhaayi mehsoos hui. . .dheere dheere apne sawaal ka jawaab mila. . .bahut soch vichaar ke paschyaat. . .apne is sapne ka arth. . .jo dekha, woh waisa nahi tha. . .woh mere darr ka prateet tha. . .us darr ki ek jhalak mujhe subah bhi dikhi. . .maano woh sapna mujhe apne aane waale subah ke baare mein aaghaa kar raha tha. . .apne darr ke baare mein. . .jo sapne mein dikha, wahi mujhe kyun dikha, ab samajh mein aaya :) woh mere mann ke kone mein dabi hoi koi baat nahi. . .woh bas mere darr ki shuruwaat thi. . . :) usk darr ki wajaah :) ab jaa kar mann ko thodi shaanti mili hai. . .kuch toh samajh aaya :P ab is darr ka kya karna hai. . .iska jawaab dheere dheere dhonndh loongi :)
Subah utthi toh sapne ke baare mein soch kar utthi. . .ek ajeeb sa dard, kuch tanhaayi mehsoos hui. . .dheere dheere apne sawaal ka jawaab mila. . .bahut soch vichaar ke paschyaat. . .apne is sapne ka arth. . .jo dekha, woh waisa nahi tha. . .woh mere darr ka prateet tha. . .us darr ki ek jhalak mujhe subah bhi dikhi. . .maano woh sapna mujhe apne aane waale subah ke baare mein aaghaa kar raha tha. . .apne darr ke baare mein. . .jo sapne mein dikha, wahi mujhe kyun dikha, ab samajh mein aaya :) woh mere mann ke kone mein dabi hoi koi baat nahi. . .woh bas mere darr ki shuruwaat thi. . . :) usk darr ki wajaah :) ab jaa kar mann ko thodi shaanti mili hai. . .kuch toh samajh aaya :P ab is darr ka kya karna hai. . .iska jawaab dheere dheere dhonndh loongi :)
Sunday, December 6, 2009
:) Bahut kuch seekh gayi hoon pichle kuch mahino mein. . . :) lekin in mahino ki meri sabse zaroori seekhon mein se yeh kuch hai. . .taali kabhi bhi ek haath se nahi bajti :) agar mujhse galti hui na, aur uska samaadhaan na ho paaya ho, toh usme meri akeli ki galti nahi. . .din, hafte, mahine, main apne aap ko har roop mein doshi tehraati gayi. . .par waqt ke saath yeh ehsaas hua ki jo bhi hua, usme main akeli ki gunegaar na thi :) mujhe khush rehne ka adhikaar hai :) agar maine kuch khoya hai toh main isme akeli nahi :) aur duniya bahut badi jagah hai :) ab waqt ke saath un ek do gham ke badle mujhe dhher saari khusiyaan naseeb hui hain :) aur zindagi mein aaye kuch khaas dost :) ek manthan hua :) waqt ke saath aage baddh toh rahi thi, par ab kahi sawaalon ke jawaab mil gaye, khusiyaan mil gayi aur aage baddhne ka raftaar baddh gaya :) khusiyaan ab gham ko bahut peeche chhod chuki hain :) apne har darr ka saamna kar rahi hoon main :) us har insaan ko shukriya jo ab mere zindagi ka hissa hai :) aur har insaan ko bhi shukriya jo kabhi na kabhi meri zindagi mein aaya aur chala gaaya :) Sab ek bahut bada khel hai :) jise taqdeer kehte hai :) humaare karam bhi usmein shaamil hain :) zindagi hai bhai :) chale chalo, khush raho :)
Zindagi kabhi kabhi leti hai mod is tarah,
Ghhaddo pe bani ho road jis tarah!
Kabhi raah pe mil jaati hai mushkilein
Aur kabhi unhi se phool khilein
Zindagi kya apni khud ki hai,
Ya Upar Waala likh raha hai koi daastaan
Shaayad hum aur Woh dono milke
Tay karte hai jeevan ka raasta
Aur raah mein mil jaate hai kuch log,
Jaisa unse milna ho sanjog
Kuch saath chalte bichhad jaate hai,
Kuch bichhad ke phir mil jaate hai
Par hai koi chhod jaata hai ek yaad, ek ehsaas,
Jo reh jaata hai humaare paas
Chaahe woh de khushi ya gham,
Bas honsla rakho, aage baddho tum
Ghhaddo pe bani ho road jis tarah!
Kabhi raah pe mil jaati hai mushkilein
Aur kabhi unhi se phool khilein
Zindagi kya apni khud ki hai,
Ya Upar Waala likh raha hai koi daastaan
Shaayad hum aur Woh dono milke
Tay karte hai jeevan ka raasta
Aur raah mein mil jaate hai kuch log,
Jaisa unse milna ho sanjog
Kuch saath chalte bichhad jaate hai,
Kuch bichhad ke phir mil jaate hai
Par hai koi chhod jaata hai ek yaad, ek ehsaas,
Jo reh jaata hai humaare paas
Chaahe woh de khushi ya gham,
Bas honsla rakho, aage baddho tum
Saturday, December 5, 2009
:) bas khush hoon, aur bas zaahir karne ka mann kiya :) life SACH mein pattri par aa gayi hai :) zindagi ka saamna kar rahi hoon, koi aankh mein choli nahi :) koi jhoote dilaase nahi :) darr bhi ab meelon door bhaag raha hai, halka mehsoos kar rahi hoon :) maano ab maroongi toh koi adhoorapan nahi :) par ab jab zindagi acchi chal rahi hai toh kaun kambaqt marna chaahta hai? :P hee hee ab toh zindagi shuru hui hai :) dil mein naya josh, nayi ummeed jaag utthi hai :) ab maano har mushkil ka saamna kiya jaa sakta hai :) bas, yeh honsla bana rahe. . .pata nahi. . . :) khair, jo ab hai, woh hai :) bas :)
Thursday, December 3, 2009
Kal, aaj aur kal, ek hi zindagaani hai, aankhon mein rahe toh aansoon, beh jaaye toh bas paani hai :) sabko chot lagti hai. . .aur ek tarah ki chot baar baar lage toh uske do anjaam ho sakte hai. . .ek, pehli baar chot lagne par ham kamzor athwa nazuk paddh jaate hai, jis se yeh hota hai ki har baar us chot ke lagne par woh deemak ki tarah kam karne lagta hai. . .doosra yeh ki ek hi chot ke baar baar lagne par hamein maano farak padna bandh ho jaata hai. . .ab dono mein se kaun sa zyaada haanikaarak hai, yeh kehna mushkil hai. . .bas ummeed yeh hai ki Bhagwaan na kare aisa logon ke saath ho. . .aur ho bhi toh khud ko sambhaalne ki shakti rakhe woh :) ya unka haath pakadne koi ho :) bas zindagi aage baddhne ka naam, khush raho, kadam baddhaao, aur muskuraao :) zindagi jitni buri hai, utni hi haseen bhi :) bas nazariye ki hai baat. . . :)
Subscribe to:
Posts (Atom)