Thursday, February 17, 2011



Mile log aise taise,
Zindagi ke raah par
Lekin milein na koi aise
Itna jiyein jo mar mar. . .

Khud ko na hai koi chain,
Na jeene de kisi aur ko. . .
Itne paagal, itne ziddi,
Sar pe koi inke bartan thoko!

Hai hoti sabki ek chhoti duniya,
Par unki duiya itni chhoti,
Ki har koi kharaab,
Aur main bhi lagoon khhoti!

Aankhon par ho laal chashma
Toh har koi dikhe laal,
Na hara, na peela, na sab ek saath
Aakhir nazariya ka hai kamaal!

Kabhi aaye daya inke haal par,
Kabhi aaye mujhe krodh. . .
Phir sochoon bechaare akal ke mare. . .
Jaane do, chal chhod. . . :P