Monday, July 13, 2009
Tuesday, May 19, 2009
Ek pal nahi lagta na zindagi ko khatam karne ke liye? Mauka bhi milta hai. . .gehri chot lagne pa humaare mann mein is tarah ke khayaal aksar aate hain. . .chot do tarah ke hote hai. . .ek jo hamein lagne waali hai, yeh hum jaante hai, aur doosri woh chot jiske lagne se pehle hamein kaano kaan khabar nahi hoti. . .pehli tarah ke chot lagne par dard toh hota hai, par kisi na kisi tarah hum sambhal jaate hain. . .lekin doosre kism ke chot. . .achaanak ek toofaan ki tarah. . .uske aane ka koi bhanak nahi padhti aur jab tak uske aane ka ehsaas hota hai, woh apna kaam kar chuka hota hai. . .haan, waqt ke saath saath woh zakhm bhi bhar jaata hai. . .
Lekin unme se kuch aise hote hai jo kabhi nahi bhar sakte. . .insaan porcelain se bana aisa gudda banke reh jaata jo girke toot gaya ho, waapis jodaa gaya ho, phir bhi usme daraarein hoti hai. . .lekin kya wakai mein har zakhm nahi bhar sakta? Pata nahi. . .kal kisne dekha. . .kya pata jo zakhm hamein aaj itni taqleef de raha hai, kal us hi zakhm ki ek kharonch bhi baaki na rahe? Sirf khud ko sambhaalna zaroori aur honsle aur ummeed ke saath aage badhna. . .par haan, agar koi haath thaamne waala ho toh safar aur bhi aasaan ho jaata hai :) pyaar insaan ko bahut taaqat deta hai. . .khush hoon ki meri zindagi mein pyaar aur saath hai :) zindagi haath se nikal nikalte reh gayi. . . :)
Thursday, March 19, 2009
Ek poori zindagi ko do hisson mein baatna padh raha hai. . .ek hissa jo duniya dekh na chahti hai. . .aur doosra hissa, meri apni zindagi :) main kya pehenti hoon, kya khaati hoon, kya paddhti hoon, kahaan paddhti hoon to kahi log jaante hai, lekin main kya sochti hoon, kya chahti hoon, kin logon ko pasand karti, kis tarah ke logon ko pasand karti hoon, kya karna chahti hoon, meri nazar mein azaadi kya hai, yeh sab bahut kam log jaante hain :) nahi, jo nahi jaante, unse koi shikve gile nahi :) bilkul bhi nahi :) kyunki aisa nahi hai ki meri taraf se bhi hamesha koshish rahi hai kisi doosre ko jaan ne ke liye. . .lekin jo jaante hain, unhe to mujh se juda na karo. . .
Is duniya mein do tarah ke log hain. . .ek jo sach jaante hain aur use apnate hain aur doosre woh jo sach to dekh kar nazarandaaz karte hai. . .chhote chhote maamuli maamlon mein nahi, main zindagi ki baat kar rahi hoon. . .mere liye yeh maan na mushkil hai ki log sach nahi jaante. . .log sach dekh na nahi chahte hai. . .aankhon par rangeen chashme pehen kar duniya ko apne aankhon se bhi nahi, apne chashmo se dekhte hain :) doosron ke nazariye se dekhna to door ki baat hai :) kabhi kabhi ghussa aata hai kuch aise logon par, lekin usse zyaada taras aata hai. . .apni duniya se baahar aa kar agar woh dekhein to unhe shaayad yeh ehsaas ho jaaye ki kya unki zindagi mein kisi cheez ki kami hai ya nahi. . .
Duniya se bhale hi ladhna padhe, jhagad na padhe, lekin apni zindagi ko zinda rakhoongi, bhale hi usse zameen ke neeche gaadhna padhe, par udhar se bhi usse saans lena sikhaaongi :)
Monday, March 2, 2009
You can't make every1 happy, so whom do U please? D 'authorities', society? Wait. . .is there sum1 imp missin fm d list. . .sum1 who's d closest 2 U. . .yes there is. . .d person in my mirror :) if she can't b happy, then there's no way she can help me 2 make others happy. . . I need her 2 b happy, she deserves 2 b happy, every1 does, but she deserves 2 b d happiest person in my life 'coz she's been wid me all my life, thru thick n thin, thru EVERYTHIN. . . I owe her happiness d most :)
R U not capable of bein U? R U not responsible enuf 2 b U? Do U not respect or love urself enuf 2 jus b urself n follow ur heart? If U do, then jus b U. . .
Thursday, February 26, 2009
Log kahenge hi ki niyati ke khilaaf mat jao. . .uske apne kaayde kanoon hai, unki mariyaada to mat laango. . .dono kinaare ek doosre ko roz dekhte hai, phir bhi mil nahi paate. . .bhale hi apne aap mein ek doosre se alag ghut ghut kar rahe, phir bhi, nadi to rahegi aur us hi disha mein bahegi jis disha mein sadiyon se behti aa rahi hai. . .'ulti Ganga mat bahao' kehte hai log, lekin Ganga hi na rahe to? Aasaan to nahi, nadi ek din mein thodi na sookhti hai, sadiyon lag jaate hai, par shuruwaat to kabhi na kabhi karni hogi na. . .aisi ek nahi kahi nadiyaan hai, jinka koi faydaa nahi. . .dheere dheere in sab ko sookhna hoga, taaki kinaare mil jaaye. . .