Monday, July 13, 2009

Mere saamne ek baccha chal raha tha. . .aur theekh uske peecche uski maa. . .deewaar ke upar se. . .utni si jagah mein sirf ek aadmi ek waqt par ek paon rakh sakta hai. . .main bhi peecche peecche us hi deewaar par chal rahi thi un dono ke peeche :) aur pata hai maine kya dekha? Ek baccha jo khatron par chal raha tha aur ek maa jo apne bacche ko aisa karne se rokh nahi rahi thi. . .kaisi maa hai woh? Upar se woh apne bacche ka haath bhi nahi pakad rahi thi. . .phir dheere dheere kuch aur bhi dikha. . .baccha har waqt maa ka aanchal pakad kar chal na nahi chahta tha. . . :) woh azaad hona chahta tha. . . :) aur yeh bhi dekha ki jab bhi bacche ke kadam dagmagaaye, maa ne apna haath badhhaaya. . .aur jab bhi bacche ne maa ki madad maangi, maa ne palak jhapakte hi uska haath thaama. . .

Kya us maa ne apna kartawya nibhaaya? :) Kya maa baap ka farz apne bacche ki raksha karna hai, unke liye sahi galat ka faisla karna hai, ya phir unhe har faisle ke bure aur bhale ke baare mein aaga karke, khud ke faisle lene ka adhikaar dena hai. . . ? Aur uske baad agar bacche ka faisla galat nikla toh. . . ? Kya maa baap ko phir bhi uska saath dena chahiye. . . ? Ab bhai faisla toh maa baap leinge toh ab main toh bas itna hi kar sakti hoon is baare mein. . . :P
Ek tha ladka aur ek thi ladki. . .aur. . .aur kya? Aage jo hua so hua. . .par aap ne kya socha? :) prem kahaani? :) Kya har ladka aur ladki ki kahaani sirf prem kahaani hoti hai? :) Kya baat dosti tak seemit nahi reh sakti? :) 'Par shuruwaat toh dosti se hoti hai, aur baat kab aage bad jaaye, logon ko kaano kaan khabar nahi padti', aisa log kehte hai. . .chalo bhai maan liya, kahi baar aisa beshaq hota hoga, lekin har baar aisa ho, aisa kaun si kitaab mein likha hai bhai? :) Kya ek ladke aur ladki ke beech ka rishta dosti acchi dosti nahi ho sakti kya? :) Aur kya har rishte ko naam dena zaroori hota hai? :) Yeh sab mein kyun keh rahi hoon? :) Kyunki dukh ki baat toh yeh hai ki main yeh jin ke liye likh rahi hoon, woh yeh shaayad kabhi naa paddhe :) Bas. . .yuun hi. . .shaayad bhadhaas nikaalni thi. . .ya phir bas mann ki baat kisi ko batani thi. . . :) zyaada kuch kehne ko nahi. . .bas ek fariyaad. . .agli baar ek ladka aur ladki ko ek saath dekhne aur paane par, kuch bhi soch samajhne se pehle bas ek baar un dono se zaroor pooch lena ki unke beech ka rishta aakhir hai kya. . . :) aur naa bhi poocho toh kam se kam unke rishte par, apni marzi ke hisaab se koi bhi mohar mat laga lena. . . :)
I lay on the hospital bed, waiting for the doctor 2 tell me wat I already knew. . .n wat I've already known 4 couple of months now. . .it is but inevitable. . .my arm needs to be amputated. . .it was for the best, said d doctor. . .but I'm d one sufferin d loss. . .hot tears rollin down my cheeks. . .my only source of solace bein d fact tat I've another arm. . .knowin tat it's not over yet. . .life can still move on. . .but nothin 2 replace wat I'm gonna lose. . .n it ain't jus d physical pain. . .of d physical separation. . .it's knowin one day after THE DAY, I'm gonna wake up n realize tat there's somethin of prime importance missin. . .

I've been prepared 4 dis 4 quite a while now. . .n I'm fine most of d tyms, but wen I'm remimded of d impendin sufferin, my eyes brim wid tears in a split second. . .is dis weakness? Is it wrong 2 b immensely attached 2 somethin tat's d very means of ur existence? Where does one draw d line? I dunno. . .I'm not sure whether I'll ever know. . .or ever understand. . .jus holdin on2 every passin moment like it's d ultimate. . .gropin in d dark 2 find somethin 2 stop tym, then turn it bk. . .wantin 2 relive everythin tat's given me immense joy n happiness. . .2 carry me thru d rest of d journey. . .my other arm in place. . .for now. . . :)