Monday, July 13, 2009

Mere saamne ek baccha chal raha tha. . .aur theekh uske peecche uski maa. . .deewaar ke upar se. . .utni si jagah mein sirf ek aadmi ek waqt par ek paon rakh sakta hai. . .main bhi peecche peecche us hi deewaar par chal rahi thi un dono ke peeche :) aur pata hai maine kya dekha? Ek baccha jo khatron par chal raha tha aur ek maa jo apne bacche ko aisa karne se rokh nahi rahi thi. . .kaisi maa hai woh? Upar se woh apne bacche ka haath bhi nahi pakad rahi thi. . .phir dheere dheere kuch aur bhi dikha. . .baccha har waqt maa ka aanchal pakad kar chal na nahi chahta tha. . . :) woh azaad hona chahta tha. . . :) aur yeh bhi dekha ki jab bhi bacche ke kadam dagmagaaye, maa ne apna haath badhhaaya. . .aur jab bhi bacche ne maa ki madad maangi, maa ne palak jhapakte hi uska haath thaama. . .

Kya us maa ne apna kartawya nibhaaya? :) Kya maa baap ka farz apne bacche ki raksha karna hai, unke liye sahi galat ka faisla karna hai, ya phir unhe har faisle ke bure aur bhale ke baare mein aaga karke, khud ke faisle lene ka adhikaar dena hai. . . ? Aur uske baad agar bacche ka faisla galat nikla toh. . . ? Kya maa baap ko phir bhi uska saath dena chahiye. . . ? Ab bhai faisla toh maa baap leinge toh ab main toh bas itna hi kar sakti hoon is baare mein. . . :P

2 comments:

ViRaNa said...

sabko apni apni galtiyon ka ehsaas hone ka mauka milna chahiye... chaahe woh maa baap ho, bachcha ya bachchi ho... :) kabhi kabhi koi us ehsaas ke sahare bahut kuch badal sakte hai, par kuch log use zindagi ka usool maante hue apni galtiyon ko dohraate rehte hain... :) haan par jo ispe tippani ki aur ye jo baat chedi woh bada sundar laga.. :)

ramyasastry said...

It's an interesting paradox that you have illustrated here...And believe it or not I have been trying to solve the paradox myself from a long time but haven't had any luck as yet...We are believers in freedom of thought and action but are we ok with having to face the consequences ? Its a tough one :)