Saturday, October 24, 2009

Maano ki apna hi hai koi doosra roop,
Aur mila jab thi kadi dhoop,
Lekin dikha woh kahi door,
Aur laga ki tha majboor

Par shaayad kismat thi mere saath,
Ki dheere dheere usne thaam liya haath,
Aur di ek aisi muskuraahat,
Ab har jagah hai us hi ki aahat

Kuch toh hai khaas,
Yeh nahi koi maamuli ehsaas,
Log chahe kare mujhe badnaam aur barbaad,
Lekin bandar kya jaane adrak ka swaad!

Nahi dena chahte hum ise koi naam,
Humare maamle se aur kisko kaam,
Jo hai bahut khoobsoorat hai,
Aur hamein iski zaroorat hai :)

No comments: