Saturday, April 17, 2010

Liye haathon mein,
Kuch dhundli yaadein
Kahi khushi ke pal
Kuch raakh, kuch kaattein

Kabhi saagar kinaare baitth roya,
Kabhi bheed mein khulke hasa
Ek bhool kya kam thi
Jo dooje mein phasa. . .

Kehte ise meethi khata,
Aur iski bhi mili use saza
Kisi ne kaha ise galat,
Par usne maane ise paakeezah

Shuruwaat mein hi, kaash
Koi use kahaani ka anth batata. . .
Jiske khaatir rang chaddhaaya
Kaash woh use yeh jataata. . .

Ki uski tapas nahi bekaar. . .
Nahi thi yeh sirf kahaaniyaan
Bas haath baddhaane ki deir thi
Milega use apna aashiyaan

1 comment:

Shoma said...

HOW!!! How do you do this in hindi? And to perfection?!?!?!!

Ashes is becoming a recurring image on this blog :(

And I love how it ends on the higher side. :)