Friday, October 11, 2019

Mujhe desh chhode 9 saal ho gaye. Us desh mein main padhi pali, waqt ko aage badhte dekha, apne aap ko Hindustani kehne mein garv mehsoos karti thi, karti hoon. Par pichle kuch salon mein, main ne desh ki dasha aur disha dono ko bigadte hue dekha hain.

Jo desh apne sanskaar ke liye jaana jata tha, wahaan khule aam log pitthte dikh rahe hain, jo desh apni aazadi ke liye Angrezon se bhid gaya, woh aaj desh drohiyon ke neeche dab gaya hai. Jis desh mein har chhoti baat par behes aur charcha hoti thi, wahaan ab kisi ko bhi bolne ki azaadi nahi hai.

Brahshtachaar, berozgari, nirdhanta, desh mein yeh sab pehle bhi tha par ab lag raha hai ki desh ki haalat itni buri pehle kabhi na thi. Pichle kahi saalon mein humne varn vyvastha, varg vibhaajan aur purush prata sampradhay ki khilaaf jo big kadam uthaaye gaye hain, sab mitti mein mil rahe hain. Mano ki desh vasiyon ko daba ke rakhne ke liye desh ne sanchaalakon ne use do kadam peeche kheench liya hai.

Logon ka mazaak banake rakh diya hai. Desh mein galat fehmi, dehshak aur nafrat fehla rahe hain yeh log. Khud toh bewakoofiyaan bolte aur karte hain, upar se baaki sab ko bhi apne jaisa samajhte hain. Yeh sab kya kam tha jo samachaar patr, akaashvaani, doordarshan, sab ko kharid kar unke maadhyam se apni bewakoofiyon ka dhindhora peethte hain. Do paise ki akal nahi hai, ek paise ki siksha nahi, ghar chalane ki aukaad nahi aur desh chalaane nikle hain.

Saam, daam, dandh, bhedh, sab hathkhande apnaaye, rajya ko apne vash mein rakh ne ke liye. Aur ab tak zyaada tar unki jeet hi hui hai, par laalach mein andhe har insaan se jo galtiyaan hoti hain, woh unse bhi ho rahi hain. Desh vaasiyon se woh jitna sach chhupaane ki koshish kar rahe hain, utna hi baahar waalon ko unki sachaai dikhaayi de rahi hai. Bahaari deshon mein in baaton ko le kar charcha hoti hai, log haste hain hum par. Ek do patrakaaron ne desh ki sanchaalakon ki jhooti taarif kya karli, unhe laga ki sachaai se logon ka dhyaan bhatak jaayega. Par kya kare, social media ka zamaana hai bhai, jo sachaai sun na chaahte hai, un tak baat pahunch hi jaati hai.

Log bhul rahe hain ki hum Angrezon se aazadi isliye pa sake the kyunki logon ko sehen karne ki seema paar ho chuki thi, dheere dheere ek andolan sa umadh raha tha desh mein, aur bas, baaki itihaas gawah hai.

Waqt ke saath saath log badalte hai, desh badalta hai, aur badlaav toh sansaar ka neeyam bhi hai. Aur ummeed karti hoon ki is kaari raat ke baad aazadi ki subah phir lautegi. 

No comments: