Rimjhim rimjhim barsaat aayi,
Haath baddhaaya, laga akeli thi
Par us baarish mein bheeg rahi,
Sang uski saheli thi. . .
Ek aasmaan, ek baarish,
Bhigoye do badan. . .
Aur haule haule, maddham
Bhujaaye unki agan. . .
Agar baarish thi ek
Toh kyun alag bheegein?
Haath pakde hasein, roye. . .
Aur beech beech mein cheeinke
Chaar saal ek sadi se kam nahi,
Chaahe ho khushi ya gham
Haath pakde aage baddhe,
Bas saath rakha kadam
Do chanchal, madhosh paglion ki,
Baarish mein bahayein aansoon
Jaana, pehchaana ek doosre ko,
Ab dekhte ek doosre ko robaroo
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
I like the chaar saal bit. What you live this minute is a lifetime. Sometimes a lifetime isn't enough too.
:) true :)
Post a Comment