Jawaan se hain,
Oonde hain janaab
Aur unka hain
Na koi jawaab
Shaano shaukat se,
Daale mooh mein beedi
Aur kad mein the yoon lambe,
Ki zaroorat hai na koi seeddhi
Aam janta ke hain do aankhein,
Huzur ko naseeb hue hain chaar
Sunaai deta lekin thoda kam,
Aur dohraani paddhti baatein baar baar
Adaayein hain lajawaab
Khubsoorati chashme baddoor. . .
Par chitr khinchwaana na jaante
Aur kabhi kabhi lagte langoor!
Kabhi dete duniya bhar ka gyaan,
Kabhi karte bacchon si baatein
Din mein sote rehte,
Kaam karte jaagkar raatein!
Hain laakhon mein ek,
Aur ab aap se kya kahein,
Ummeed karte, ek prarthana
Hamesha khush rahein. . .
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment