Log kehte hain ki yeh kalyug hai. . .aur har mazhab ke granth mein, har shastron mein likha hai ki is kalyug mein ek farishta, ek maseeha aayega, Bhagwaan ka is dharti par doosra janam, vagera vagera. . .kuch log is baat ko maante hai, kuch is par vishwas nahi karte. . .lekin main naahi is par vishwas karti hoon, par maine Bhagwaan ke doosre avtaar ko dekha hai, ekdum Jesus ki tarah. . .dikhne mein daaddi mooch ke saath, gora rang, lamba kad, bacchon si muskuraahat. . .aur unke karam, ek tarah se karishma hi karte hain. . .logon se baatein karte, unke dil ke zakhmon ko bharte hai, unhe jeena ki vajah dete hai. . .maano ek jadoo ki chhadi le kar sab ko theekh karte hai. . .haan, lekin woh insaan hain, koi jaadugar nahi. . .apni lagan se bina chhuye logon ki madad karte aur unke dilon ko is tarah chhute hai ki insaan dang reh jaata hai. . .yeh aadmi ya to Bhagwaan ke roop mein insaan hai, ya phir insaan ke roop mein Bhagwaan. . .
Ek baat ka dukh to hamesha rahega. . .duniya mein kahi log inhe jaanenge, lekin unhe kareeb se jaanane ka bhagya kabhi nahi hoga mujhe. . .sab ki madad karte hain, lekin unki taaqat kaun hain, main nahi jaan paayoongi. . .khair, ek meethe sapne ki tarah, ek sundar haaqeeqat ki tarah, unhe hamesha apni yaadon mein, apne dil mein sanjhoye rakhoongi. . .
2 comments:
har insaan ko ek chingari ki zaroorat hai... agar woh achcha insaan hai to woh chingaari woh achche kaam pe istemaal karta hai.. agar woh bura insaan hai woh to sirf burayi karega... lekin main baat kar raha hoon us chingari ki.. 'Awareness' jisse kehte hain.. woh har insaan ko ek unchayi tak pahuncha deti hai.. Bhagwan ko har koi nahi dekh sakta.. aise hi insaani roopi Bhagwan ko sirf thode se hi log dekh sakte hai.. insaan ho ya Bhagwan sab pe vishwas rakhna bahut zaroori hai.. :) achcha likha hai yaar.. aur jis insaan ke baare mein tumne likha hai woh bhi shayad kabhi tumhari tarah sochta tha?? :)
he is a god that i can percieve :)
Post a Comment