Thursday, March 19, 2009

Ek poori zindagi ko do hisson mein baatna padh raha hai. . .ek hissa jo duniya dekh na chahti hai. . .aur doosra hissa, meri apni zindagi :) main kya pehenti hoon, kya khaati hoon, kya paddhti hoon, kahaan paddhti hoon to kahi log jaante hai, lekin main kya sochti hoon, kya chahti hoon, kin logon ko pasand karti, kis tarah ke logon ko pasand karti hoon, kya karna chahti hoon, meri nazar mein azaadi kya hai, yeh sab bahut kam log jaante hain :) nahi, jo nahi jaante, unse koi shikve gile nahi :) bilkul bhi nahi :) kyunki aisa nahi hai ki meri taraf se bhi hamesha koshish rahi hai kisi doosre ko jaan ne ke liye. . .lekin jo jaante hain, unhe to mujh se juda na karo. . .

Is duniya mein do tarah ke log hain. . .ek jo sach jaante hain aur use apnate hain aur doosre woh jo sach to dekh kar nazarandaaz karte hai. . .chhote chhote maamuli maamlon mein nahi, main zindagi ki baat kar rahi hoon. . .mere liye yeh maan na mushkil hai ki log sach nahi jaante. . .log sach dekh na nahi chahte hai. . .aankhon par rangeen chashme pehen kar duniya ko apne aankhon se bhi nahi, apne chashmo se dekhte hain :) doosron ke nazariye se dekhna to door ki baat hai :) kabhi kabhi ghussa aata hai kuch aise logon par, lekin usse zyaada taras aata hai. . .apni duniya se baahar aa kar agar woh dekhein to unhe shaayad yeh ehsaas ho jaaye ki kya unki zindagi mein kisi cheez ki kami hai ya nahi. . .

Duniya se bhale hi ladhna padhe, jhagad na padhe, lekin apni zindagi ko zinda rakhoongi, bhale hi usse zameen ke neeche gaadhna padhe, par udhar se bhi usse saans lena sikhaaongi :)

5 comments:

ViRaNa said...

ayyo :) every single line is so true... so very true.. hmmm.. I really dunno what to say, but I empathize totally...and you deserve every bit of happiness buddy.. tumhari har soch ki goonj un tak pahunchegi.. dekhna tum.. :) zameen ke neeche koi nahi gaadhega tumhe.. gaadhne nahi denge hum.. :)

ramyasastry said...

That's life isn't it...what people do instead of talking about things the way they are is talk about things as they want them to be...yeah U n I have borne the cost of this :) N i relate to that :) true honest feelings bum...i hope that if not now atleast in future people who need to read this do read it :)

allies_allways said...

hmmm.... i THINK i understood most of it :) but i don wanna comment in case i'm way off :) but whatever i thought (and hope) i understood, i do agree with :) ppl only see what they wanna see. maybe thas coz they're too scared to look within themselves coz we can't fool ourselves about what WE really are. so i guess it's easier to jus look out and pretend everything's ok, both in and out :)

Shoma said...

Beats me how you do this in Hindi is my first thought!

And,

humko maloom hai jannat ki haqeeqat lekin/ dil ko khush rakhne ke liye/ ghalib yeh khayal achcha hai - Ghalib

You're my present day Ghalib :)

Shoma said...

And Archana paid like 1200 bucks every sem till second year to learn additional english in classesthat were never held and instead she picked up Hindi in the last year from bits of our conversations and all sorts of John Abraham movies...:P:)

Who needs higher education?