Friday, February 12, 2010

Naazuk haathon se khola jharoka,
Aur laga thandi hawa ka ek halka jhonka,
Aaj bhi wahi baat use khata,
Khair, kya hoga, kise pata

Gham ka mukkhota tha uski hasi,
Bewakuf lekin samjhe, hasi toh phasi
Mann bola, is raaz ko na bata,
Khair, kya hoga, kise pata

Sheesha haath se jaaye chhoot,
Ek pal mein ho sakta hai toot
Par nahi chhodi ummeed ki lata,
Khair, kya hoga, kise pata

Uska tha na isme koi kasoor,
Kisi ke haalaat par thi woh majboor
Jataakar bhi na jata,
Khair, kya hoga, kise pata

Duniya ne use saraakhaa,
Par shaayad sahi na parkha
Ek hi tha uska ata pata,
Khair, kya hoga, kise pata

2 comments:

Shoma said...

This's a lesson on life types.. Love the duniya ne tha usko saraaha...bit. Rings of your words :)

Pooja said...

Hee hee :P