Sunday, March 14, 2010


Ek bada khubsoorat peiddh
Aankhein badi kiye dekha upar
Darr tha mann mein, phir bhi
Chaddhna chaaha uspar

Haath thandde paddh gaye,
Par koshish thi jaari. . .
Kaano mein goonji woh awaaz
Aur kadam paddh gaye bhaari. . .

Peiddh par do shaakhaayein,
Kisko aazmaayein?
Kaun si shaakha chaddhein
Kisein apnaayein?

Pehli shaakha par manpasand fal
Par daali thi kamzor. . .
Paana chaaha us fal ko
Par toot sakti thi dor. . .

Doosre par bhi tha ek fal,
Pehle sa nyaara toh nahi,
Par daal thi mazboot,
Shaayad na girta kahi. . .

Kabhi sochein ki ek gire
To nahi karna paddhta chunaav,
Par agar zindagi itni aasaan hoti,
No nahi lagta kabhi bhi ghaav. . .

Is dono ke beech beitthe,
Kar rahe hain intezaar,
Koi maseeha aasmaan se utre. . .
Aur zindagi ka banaaye bahaar

No comments: