Saturday, April 24, 2010

Ek aatma, ek zindagi,
Ko kyun diya dilaasa,
Pal do pal ki khushi
Aur ummeed bani niraasha. . .

Udd gaya jo daaman,
Use phir se kyun oddaa. . .
Mastak tale aasmaan,
Phir sapne aisa toddaa

Shaayad tha sab ek vehem,
Woh pyaar, woh dostaana
Kaise nahi dikha sach,
Ab khilli udaata zamaana

Woh rehnuma, woh farishta
Jise chaaron or dekha
Kya hai bas musafir
Ya badal raha jeevan rekha. . .

Kya reh gaya baaki,
Bas ban gaya sab sawaal. . .
Filhaal aate hain baar baar
Keval aise khayaal. . .

Bheed mein bhi dikhe ek,
Chaahe ho hazaaron,
Un sab se oondaa maana
Ek sitaare ko yaaron

Jeevan ka ek sabak,
Sirf ungli bhar hai prasaad
Chak kar aazmaao
Aur dholo, karo aazaad. . .

Kholo apni aankhein,
Yeh duniya bahut badi hai
Utaar do yeh bhoot,
Tujhe bahut chadi hai. . .!

2 comments:

Shoma said...

This has a ghazal feel and I love this one too. The last line, esp :)

Pooja said...

Hee hee thanku :D