Wednesday, April 7, 2010

Kahi door ban mein,
Phool, bahaar aur chaman
Aur inke sang base
Do pyaare hiran

Chaar pyaare nayan,
Par nazar sirf ek hi
Ek hi ke nazar se
Doosre ne duniya dekhi

Ek hi dhun baar baar,
Unme se ek gaaye
Doosra sune, muskuraaye,
Aur uski dhun mein samaaye

Kahi ankahee baatein,
Aankhon aankhon mein
Ek ki khusboon mehke,
Doosre ki saanson mein 

Lade, jhagde, khelein,
Piyein ek ghaat ka paani
Ek honhaar, maasoom
Dooja natkhat, mastaani

Yeh haule kashish,
Shaayad rahegi sada
Is kadar baah gayi
Ek ko dooje ki adaa

2 comments:

Shoma said...

Awww, I love the bit about the eyes of the deer, lovely image.

Pooja said...

:) bum U're d best :D