Wednesday, August 29, 2012

Jo the ganith ke vidhwaan
Na thi zaroorat jinko prachaar
Mere daada, mere buzhurkh
Gaye swarg siddhaar. . .

Jaane maane the woh
Apne chhote sheher mein
Tha unka bhi naam
Saagar ke ek leher mein. . .

Shikiya mujhko bhi ganith
Adhyaapak the tum nyaara
Kitaabon ke beecho beech,
Tha ek panna tumhaara. . .

Guroor bhi tha, ahankaar bhi
The woh ghusse waale
Lekin shikshakon ke maamle mein
The bade dilwaale. . .

Kuch logon ke liye tha izzat
Kahin ke liye unhe dikkhaar
Humse bhi nahi tha lagaav
Shaayad ki kiya humein pyaar. . .

Biwi ka the sansaar, par
Bacchon ka na the sahaara
Phir bhi zindagi ke pedh par
Tha ek daal tumhaara. . .

Chaudaah saal ki umr mein
Banaaya jisko kulvadhu
Aaj ke baad na hogi woh
Kabhi bhi unse rubaroo. . .

Hai bas itna hi jeevan
Aaj hai, kal nahin
Guzar hai yun achaanak
Shaayad galat, shaayad sahi. . .

Nahi pata tha hamein
Ki tha tu humko pyaara
Ki dil ke kisi kone mein
Tha ek naam tumhaara. . .

Swargiya Sreedharan Pillai. . .RIP Appuppa. . .

2 comments:

Unknown said...

Moving!! I loved it Pooja :)

Anonymous said...

Really touching lines love it.
Goa Escorts