Monday, September 21, 2009
Ajeeb kashmakash mein hoon main. . .samajh nahi aata ki samjhoon toh kya. . .zindagi ke bahut hi kam rishte hain jinke gatth par purn vishwaas hai :) meri stithi toh vaakai mein daya karne laayak hai. . .aur yeh koi garv ki baat nahi. . .mann main har waqt manthan chal raha hai. . .haan yeh acchi baat hai. . .soch vichaar karna hameshaa accha hota hai. . .vishay chahe jo bhi ho :) aur jab zindagi se samjhota (mujhe samjhota bilkul pasand nahi. . .isliye us mein se ubhar ne ki koshish kar rahi hoon :) ) karne lagi thi, tab ek chhoti si baat meri nazar mein padi aur phir apne un kacche rishton par sawaal utthne lage. . .kya woh waakai mein toot gaye hai? Par dil kabhi jhoot nahi bolta :) aur apne dil ka jawaab jaanti hoon main :) par kuch toh baat hai jo ab bhi khatak rahi hai. . .us sawaal ka jawaab ko khair waqt hi dega :) kabhi hum ummeed ka diya jalaakar khud ko dilaasa dete hain. . .aur kabhi gham ke vishaal kooain mein kood padte hai. . .khair, itna imtehaan liya gaya hai mera, toh thoda aur hi sahi. . .
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment