Wednesday, October 7, 2009
Sach kehte hain, zindagi bas aage baddhne ka naam hai :) par yun hi baddhne ka nahi :) apne har lamhe se kuch seekho :) use jiyo :) haso, gaao, muskuraao :) ro lo :) jo dil mein ho, bol daalo :) aakhir zubaan kis liye diya hai Bhagwaan ne :P zindagi bhi dilchasb hai, ek pal lagta hai ki bas ab sab khatam aur waqt ke saath saath har pahaad rai sa lagne lagta hai :) bas mann mein rakhna hai vishwaas aur aage baddhna hai, har kadam rakhna bhaari kyun na lage :) haan koi humdard ho toh baat hi kuch aur hai :) safar kaise katt ta hai pata hi nahi chalta :) aur ek aur baat. . .apne anubhav se keh rahi hoon, koi aap se rishte naate tod bhi de, iska matlab yeh nahi ki aap usse pyaar karna ya uski fiqr karna chhod de :) log agar dard pahunchaaye, toh unhe maaf kardo, chaahe woh aap se kitni bhi nafrat kyun na kare, ya phir aapse behrukhi se pehshaaye. . .apne dil ke darwaaze hameshaa khulle rakhna :) un logon ke liye jo aap ki zindagi se baahar kadam rakh chuke hain aur unke liye bhi jo aapki zindagi mein kadam rakhne ko hain. . . :) kam se kam yeh meri apni zindagi ka usool hai :) aur aisa karne se muhje manotripti milti hai :) bas uske baad zindagi haseein lagti hai :) duniya mein shaayad hi aisa koi zakhm hai jise bhara nahi jaa sakta :) bas thoda sa pyaar, vishwaas, dhher saari hasi aur thaam ne ke liye kam se kam ek haath. . . :)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment