Khwaabon ki taabeer dhoondoon,
Patjhadd mein phool dhoondoon. . .
Yun hi baaton baaton mein,
Khoj mein doob paddhoon. . .
Woh anmol yaadein,
Gul-e-gulzaar
Aur kahi unme simte,
Woh komal ruksaar
Ek hi seep mein base,
Ek se zyaada moti
Khushiyon ki koi sima nahi
Chu jaaye falak ki choti
Duniya dekhe woh nayan,
Main dhoondoon unme tasveer. . .
Lekin haathon mein na saumpe woh mujhe
Shaayad samjhe mujhe kaafir. . .
Rehnuma shaayad na sahi,
Par hai humaari barqat. . .
Na jaane kab se woh
Humaari ek hi ibaadat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
I like the single-mindedness of the theme again, love how it carries through completely in the poem. And I love the use of "ibaadat"
:) :) :) n love U bum :D
Post a Comment