Daur naya, par chehra wahi
Aur is chehre par jhuriyaan kahi
Sudharte sudharte guzar gaya jeevan
Khaamiyaan kuch par khoobiyaan nahi
Baitthi apne aap ek kone
Jab mila koi use sawaar ne
Nahin tha lekin usme dhairya
Chhod gaya use beech majhdhaar mein
Lekin kahaan seekha usne sabak
Phir peda hue wahi haalaat
Sach hi kehte hain log
Bandar kabhi nahi bhoolta apni gulaat
Dobaara chot laga, phir jaana
Kuch bhi nahi hai stthir
Tei kar liya tha usne
Nahi karni dosti phir. . .
Kismat ko tha kuch aur manzoor
Din aaye phir harsh ke
Ek nahi, dugni mili khushiyaan
Bhale hi guzar ne pade kuch sangharsh se
Kabhi kabhi iss sab ke beech
Yaad aati hai puraani baatein
Kuch has kuch ro leti hai
Phir doob jaati apne aaj mein
Bhool jaati ki, na stthir hai dukh
Or na sada khushiyaan rahengi
Sheeghr aayeinge woh din jab
Uske sab zakhm waqt khud bharegi
Aur is chehre par jhuriyaan kahi
Sudharte sudharte guzar gaya jeevan
Khaamiyaan kuch par khoobiyaan nahi
Baitthi apne aap ek kone
Jab mila koi use sawaar ne
Nahin tha lekin usme dhairya
Chhod gaya use beech majhdhaar mein
Lekin kahaan seekha usne sabak
Phir peda hue wahi haalaat
Sach hi kehte hain log
Bandar kabhi nahi bhoolta apni gulaat
Dobaara chot laga, phir jaana
Kuch bhi nahi hai stthir
Tei kar liya tha usne
Nahi karni dosti phir. . .
Kismat ko tha kuch aur manzoor
Din aaye phir harsh ke
Ek nahi, dugni mili khushiyaan
Bhale hi guzar ne pade kuch sangharsh se
Kabhi kabhi iss sab ke beech
Yaad aati hai puraani baatein
Kuch has kuch ro leti hai
Phir doob jaati apne aaj mein
Bhool jaati ki, na stthir hai dukh
Or na sada khushiyaan rahengi
Sheeghr aayeinge woh din jab
Uske sab zakhm waqt khud bharegi
No comments:
Post a Comment