Thursday, December 31, 2009

Naye saal ki shuruwaat. . .nayi zindagi ki bhi shaayad. . .haan ek aad mahine mein woh bhi :) par meri nayi zindagi ddeydd saal pehle shuru hui thi. . .ddeyd saal, kehne ko toh ikkees saalon mein se ek chhotta sa hissa. . .par mere liye, bahut hi zyaada keemti. . .is saal ke anth par main in ddeydd saalon ki aur peeche muddh ke dekh rahi hoon. . .kya nahi hua is beech? :) In ddeydd saalon mein sadiyon ka safar tey kiya hai maine :) aisa nahi hai ki bas apni poori zindagi jee chuki is dohraan, par bahut kuch paaya, khoya aur seekha hai maine is beech :) khud se pehchaan hui, kuch naye guru mile aur unse BAHUT seekha :), shukriya shabd kam padd jaata hai :) kahi logon se jaan pehchaan hui :) :) :) kuch khaas log mile :) bahut hi azeez aur dil ke kareeb :) kuch bicchde aur maine girkar sambhalna seekha :) kuch khud kiya, kuch kisi aur ne mere liye kiya :) is dil ne kabhi nafrat karna nahi seekha toh kadwaahat ki toh koi gunjaaish nahi :) par haan, apni ahm galtion ko pehchaana :) ek, khud ki galti ko pehchaana, do, doosron ki galtion ki aur nazar paddhi aur teen, khud ko zaroorat se zyaada saza na dena seekha :) kya karein, bhaavnaaon ko tolna nahi aata :) jo bhi hai, poore dil se hai :) dikhe na dikhe, bahut hi bhaavuk kisam ke insaan hai ham :P aankhein jitni khuli thi, us se zyaada khul gayi :P kahi aur dost banaaye :) aur kuch toh hamesha se the :) bas pehchaan ne ki deir thi :) aur kuch toh achaanak ke kareeb aa gaye :) ruh se is tarah ghul mila gaye ki kya kahoon :) kabhi ek waqt tha is beech jab laga ki sab khatam ho gaya, phir laga zindagi toh ab shuru hui hai :) phir ek darr sa mann mein. . .jo nayi khushi naseeb hui hai, woh pal do pal ki hogi. . .jinhe kareeb aane ki ijaazat di, kahi woh cheer kar door chale gaye toh. . .khair, ab toh woh darr bhi gaya :) aaj mein jeena seekh rahi hoon :) haule haule apne aap ko aur bhi mazboot kar rahi hoon :) mann mein jo bhaadas, darr, taqleef, dard aur kashmakash the, sab ab kaafi hadd tak jaa chuke hai :) reh gaye hai toh yaadein :) aur yaadein rehni chahiye :) gusre hue waqt ko khushi se hamesha dekh sakti hoon :) rishte kahi badal chuke hai, phir bhi :)


Aaj apnon ka saath hai, khud ki pehchaan, lakshya ka andaaza hai, karmon mein sacchaai hai aur dheir saari khushi hai. . .haan par ek tarah se lag raha hai ki maano apna kaccha chitta sabke saamne pesh kar rahi hoon. . .ek tarah se nagn mehsoos kar rahi hoon :) is baat par dasvi kaksha ki ek kavita yaad aa gayi :) un dino, is kavita aur khaas kar ki uski shishak ko lekar ham chutkule maarte the :P par uska asli arth kahi saalon se paschaat samajh aaya :) ‘Tum kyon likhte ho’, uske do bol yaad hain aaj bhi :) ‘Tum kyon likhte ho? Apne mann ke bhaavnaaon ko dikhaane ke liye likhte ho ya chhupaane ke liye likhte ho’ :) :) :) bhai ham toh jaan gaye hai ki ham kyon likhte hai :) agar is naacheez ke is lekhan ko koi bhi insaan ya bhoot paddh raha ho, toh use nav warsh kid heir saari HAARDIK shubh kaamnaayein :) :) :)

No comments: