Sunday, December 13, 2009

Tthehelne ke liye nikal paddhi. . .ek lamba raasta chuna. . .bas 'main aur meri tanhaayee'. . .aur raate mein dekhne ko bahut kuch mila :) ek ghar, phoolon se saji hui :) lagta hai us ghar mein kisi ki haali mein shaadi hui thi. . .kuch doori par bacche khel rahe the :) zameen par kuch gol matol se cheeze banaakar, un par ucchal kood kar :P :) :) wahi aas paas kisi ghar mein sangeet baj raha tha :) phir raaste par mod aaya aur daanyi or muddh gayi. . .kuch doori par apni daanyi or ek ghar dikha. . .neele, laal aur safaid rang ka. . .rang is prakaar chaddaaye gaye the ki dekh kar bachpan mein suni aur paddhi hui ek kahaani yaad aagayi :) lagta hai us ghar par haali mein us ghar par yeh rang chaddaaye gaye the. . .mere baajoo se ek buzhurk gusarte hue gaye. . .haath mein kuch samaan liye. . .lag raha tha ki yeh woh shaayad har subah karte honge. . .chalte chalte daanyi or ek aur ghar dikha. . .woh kabhi ek zamaane ek jaan pehchaan waale ka ghar hua karta tha :) dekh kar ek halki si muskuraahat chehre par aa gayi :) kahi ghar raaste mein :) har ek ghar ki apni kahaani hogi, is baare mein sochte hue chalti gayi. . .is lambe se raaste ke doosre mod ke kuch kadam pehle, baanyi or ek ladka aur ladki baat kar rahe the :) gustaaki maaf, lekin maine kuch baatein sun li :P shaayad unki haali mein mulaaqat hui thi aur ladki shaayad yeh nahi jaanti thi ki ladka kahi aas paas rehta tha. . .ladki khush thi. . .woh ek doosre ke liye kuch mehsoos kar rahe the ya nahi, unke beech mein kya rishta hai, yeh sab main nahi jaanti. . .aur jaan ne ka mujhe adhikaar bhi nahi :) bas dekha, muskuraaya aur chalti gayi :)

Do aur mod ke baad ek janaab gaadi chalaate hue mere saamne se guzar rahe the. . .gaadi haddbaddaakar chala rahe the. . .shaayad raaste se anjaan the. . .ya phir unhe koi aur pareshaani thi. . .Ram jaane. . .chalte chalte apni manzil kab pahunchi, pata hi nahi chala. . . :) jis raate par kahi baar safar kar chuki, us raaste ko aaj itne ghaaur se dekha :) kaan mein sangeet bajaaye baghair, nazar kisi dost ke sandhesh par rakhe baghair :) nazar, kaan, sab purn roop se raaste par rakhte hue :)

No comments: