Tuesday, March 30, 2010

Is zaailim muqaddar ne,
Kiya bhare zakhm ko taaza
Ab bettha hoon gham mein,
Hai mere dost ka janaaza. . .

Duniya kahein mujhe paagal,
Thi bas ek chhoti si kaza
Par bahut khoya hai maine. . .
Hai mere dost ka janaaza. . .

Hai yeh ek aur pareeksha
Jaane kaunse karm ki saza
Bhale banoo sone sa khara par
Hai mere dost ka janaaza. . .

Sang rahe itne baras,
Tha duniya ki or mera darwaaza
Kaise na manaaon main shok,
Hai mere dost ka janaaza. . .

Rai ka pahaadd hi sahi
Par lut gaya zindagi ka maza
Waqt aane par khair sab milkar
Manaayenge apne is dost ka bhi janaaza. . .

2 comments:

Shoma said...

Oh man. This hit me in the guts. Unusual, unusual theme. Touched.

Pooja said...

:) ah :) I can't thank U enuf bum :) 4 everythin... :)