Monday, March 19, 2012

Mere zindagi ke pichle do saal. . .

Apno se paraayi,
Nav duniya ki or. . .
Aur jab paayi maine khushi
Tab mach gaya shor. . .

Adchan pe adchan,
Taane aur sawaal
In hi mein kat gaye
Mere pichle do saal. . .

Kitaabon aur paddhaai ke beech
Mujhe bhi ho gaya pyaar
Lekin kuch log napaawat
Ab kya bataaoon yaar!

Bin baat par lad pade,
Bura tha mera haal
Aansoon aur ghuttan mein guzre
Mere pichle do saal. . .

Shaayad yeh sab kaafi na tha
Ki shareer ne bhi saath chhoda. . .
Bhukhmari aur maansik tanaav ne
Meri sehat ko toda. . .

Ladki se bani gubbaara main
Nyasargon ka hua bhuchaal
Unhe suljhaane mein nikal gaye
Mere pichle do saal. . .

Har surang ke anth mein ujaala
Yeh bhi maine seekha. . .
Baaton ko ek kaan se andar
Aur naakh se baahar cheenka. . .

Meri bimaari ka hai nuska
Nahin hai koi kamaal
Thi kuch apnon ka saath, so beet gaye
Mere pichle do saal. . .

PS: Make tat teen saal, d yr before those two yrs was quite a roller coaster too :P :P :P

No comments: