Monday, March 19, 2012

Kyun nahi hai poora
Chand falak par
Amaavasya se poonima tak
Kaisa yeh ajeeb darr?

Pankh failaaye khadaa,
Naachne ko betaab mor
Par varsha na hui ab tak,
Phir bhi dekhta us or. . .

Beej toh bo diya,
Par uga nahi daana
Is beech pani aur dhoop ka,
Laga rahega aana jaana

Kuch jag toh gaya hai,
Par savera nahi hua abhi
Lekin haar raat ki hoti ek din
Subah bhi hogi kabhi :)

No comments: