Monday, March 19, 2012

I'm sure U guys have seen movies where bits of ur life, d roughest n sweetest patches of it, kinda float into ur mind here n there, happens all the time in real. . .atleast mere saath. . .

Aur in yaadon mein toh sabse zyaada apne doston ko paati hoon. . .apne paathshaala ke dost, jin ke saath bachpan beeta hai. . .khel kood, paddhai, nokjhok, hasi, pariksha. . .khadoos adhyaapak, aur woh log, dost aur bade log, jinhone ek chhoti si ladki ko bin baat par ek do baar rulaaya tha. . .ummeed hai woh doosron ko rulaane ke alaawa bhi zindagi mein kuch haasil kar ke aage badh paaye hai! :P

N then college. . .more friends, closer bonding, bein a sane person in an insane institution! Some of the best yrs of my life. . .Lit classes, Hindi classes (zzz. . .), saree days, coll fests (aur unpar aate kuch cute bandhein ;) ) n all those b'day treats n bunkin to eat chaat or jus hang out by d arch. . .a place n time where I made friends within n some very close friends outside college. . .haan yeh baat alag hai ki usme se ek do doston ne. . .chalo bol hi deti hoon, par apne andaaz mein. . .woh gaana yaad aata hai. . . "dil aisa kisi mera toda, barbaadi taraf aisa moda. . .ek bhale maanush ko . . .amaanush banaake chhoda. . ." :) aur jab un doston to khud ki khushaali ke khaatir maaf kiya, tab aur bhi mahaan log gale pad gaye! :P

But there were once these intellectual ppl, who made quotes like "In just two days, tomorrow will be yesterday" and "For every dark night, there's a brighter day" n so on. . .n they've such fantastic quotes in Hindi also, bolo! :P Na na, I ain't trying to b cynical, lekin in sab baaton ko actually samajh ne mein bahut waqt lagta hai. . .sab saamp kaat ta hai, tab hum do mein se ek karte hain. . .ya toh hum apne aap ko sambhaalne ki koshish karte hai. . .ya phir ghusse aur peedha mein us saamp ke peeche lag jaate hai. . .aur zyaadatar log wahi karte hain. . .saamp ke peeche lag jaate hain. . .aur yeh bhool jaate hai saamp ne toh apna kaam kar diya hai. . .usne humaari zehen mein vish bhar diya hai. . .aur agar hum apna ilaaj na kare, toh woh vish dheere dheere hamein khatam karne lagta hai. . .U can call it the deemak (termite) effect :P

Hee hee, it's so much easier to laugh things off, now tat U've climbed the mountain :) things have taken a while to sweep clean coz of an ongoing dominos effect. . .par ab sab kachda zehen se baahar. . .yeh dusshera poore teen saal chali, ab mar gaya Raavan. . .n guess wat? I'M BACK!!! :D :D :D

1 comment:

PRASOON said...

with you all the way da.. :*