Har din kuch naya ghatt ta,
Aur yeh mera din banaaye rakh ta
Mere liye karte khud ko arpan,
Aur dikhta hai inmein apna darpan
Haste khelte, khil khilaate,
Jhil mil jhil mil, muskuraate
Baate shehed si aur phoolon ki mehek
Ji bhar ke sunti hoon inki chehek
Lekin duniya ki samajh se yeh na vanchit,
Aur inke sawaal karde logon ko chakit
Maaf karte unhe jo pahunchaate kheid,
Aur dil mein nahi rakhte koi bheid
Kuch toh hai inmein baat,
Pavitr hain unse jude har jazbaat
Inki kilkaariyaan meri mann mein goonje
Aur kahi baar mujhe yeh baat soojhe
Is kadar karte mujhse pyaar,
Hoon na hoon chaahe main iski haqdaar
Ek sookoon sa hai inke nazariye mein,
Aur bas gaye hain yeh dil ke nagariye mein
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment