Kahi baar mann mein wahi pyaas jagi,
Aur use poori karne ki aas jagi
Par jab bhi woh is raah par chala,
Uska haath tha jalaa
Na tha woh koi chor
Bas door se dekhta usko,
Jaise chaand ko chakor
Aur uski khushi par jhoom utthta
Jaise baarish mein naachta mor
Dil ko sambhaala par lab na rukaa,
Jazbaat ko sambhaala toh nazar jhuka
Ho gaya tha woh bekaaboo,
Chal gaya tha us par woh jaadoo
Par haqeeqat se thi uski pehchaan,
Use paana na tha aasaan
Aur woh tha uski nazar mein anjaan
Karna tha use is sacchai ka maan
Ki woh thi falak ki hoor pari. . .
Aur woh mitti ka bana mamooli insaan :)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment