Sunday, December 13, 2009

Kshitij. . .uski khaasiyat yeh hai ki hum uske jitne uske kareeb jaane ki koshish karte hai, woh humse utni hi door  jaata rehta hai. . .aise mein insaan kya kare? Uski aur jaane se khud ko rok de? :) Ya is haqeeqat ko pehchaanle ki zindagi mein hum jo chaahte hai, woh hamein hamesha naseeb ho, aisa nahi hota hai. . .dukh ki baat toh yeh hai hum mein se aise kahi log hai jinhe woh cheezein saaf dikhti hai jo unhe nahi mila, par woh cheezein kam dikhti hai jo unke jholi mein hamesha se the. . .yeh soch kar rote hai jisse hum pyaar karte hai, unke liye hum kuch nahi, par yeh nahi dikhta ki theekh humaare bagal mein ek aisa vyakti (aur kabhi, ek se kahi zyaada. . . :)) hai jis ke liye hum hi sab kuch hai. . .aur sab kuch na sahi, par bahut kuch. . .jo hai use thukraakar uski prateeksha karte hai jo humaari kismat mein hi nahi. . . :)

Is sikke ka doosra pehloo yeh hai ki kya hamein aise sochne ka haq nahi? Jisse hum pyaar karein, badle mein unki pyaar ki prateeksha karna galat hai kya? Kya hamein haq nahi yeh abhilaasha karne ka ki apni zindagi mein aise insaan ko paane kya jo sirf humaare liye bana ho? Woh kehte hai, kabhi kabhi duniya bhar ka pyaar bhi kam paddh jaata hai aur us ek insaan ka pyaar mil jaaye toh bahut hai. . .lekin kya aisa pyaar sabko naseeb hot hai? Sochne waali baat hai :) Aur jin abhaaganon ko yeh na mila, woh kya kare? :) Sach poocho toh main nahi jaanti. . .bas itna keh sakti hoon ki pyaar ke kahi roop hai :) maa baap ka pyaar, bhaai behen ka pyaar, bete beti ka pyaar, dost ka, premi ka. . .har rishte mein pyaar ho sakta hai :) bas us har rishte ke har pyaar ko pehchaano. . .aur us har ek pyaar ko apni zindagi mein ahemiyaat do :) woh ek pyaar, woh khaas insaan, zindagi mein aaye toh aaye. . .warna bhaad mein jaaye! :P

2 comments:

Kander Waderr said...

do you mean what i think you mean...about what i think it's about...?

Pooja said...

:) Let's hear wat U think it's abt :)