Thursday, January 28, 2010

Haath mein liye ek jaam,
Kiya unko salaam
Koi kahe ise kaari saanjh
Hum kahe ise suhaani shaam

Musalaadhaar baarish ki tarah,
Ek meethi saazish ki tarah
Hazaaron nakshatra uski kutiya mein,
Dheir saara pyaar uski chhittiya mein

Mutthi kholi aur nikli titliyaan pyaari,
Khadi beechon beech phoolon ki kyaari
Ek do murjhaaye, unka aa gaya tha samay
Par inke baad hi toh aaye pushp naaye :)

Friday, January 22, 2010

Har din kuch naya ghatt ta,
Aur yeh mera din banaaye rakh ta
Mere liye karte khud ko arpan,
Aur dikhta hai inmein apna darpan

Haste khelte, khil khilaate,
Jhil mil jhil mil, muskuraate
Baate shehed si aur phoolon ki mehek
Ji bhar ke sunti hoon inki chehek

Lekin duniya ki samajh se yeh na vanchit,
Aur inke sawaal karde logon ko chakit
Maaf karte unhe jo pahunchaate kheid,
Aur dil mein nahi rakhte koi bheid

Kuch toh hai inmein baat,
Pavitr hain unse jude har jazbaat
Inki kilkaariyaan meri mann mein goonje
Aur kahi baar mujhe yeh baat soojhe

Is kadar karte mujhse pyaar,
Hoon na hoon chaahe main iski haqdaar
Ek sookoon sa hai inke nazariye mein,
Aur bas gaye hain yeh dil ke nagariye mein
Zameen par thi toh aasmaan ko choona chaaha,
Taare mile toh chaand par hona chaaha
Par laalach bhi thi kuch is tarah,
Ki paane ke liye kuch khona na chaaha

Guzar rahi hai zindagi kuch theekh si,
Mili ek se zyaada seekh bhi
Phir bhi kadam baddhaakar use rokna chaaha
Aur maangni chaahi ek bheekh si. . .

Lekin kadam na baddhe yeh accha hua,
Nahi poori hui woh anhonee dua
Jo mila woh bahut hai shaayad
Kam se kam kisine humaare ruh ko chhuaa. . . :)

Tuesday, January 19, 2010

Ajeeb lagta hai kabhi kabhi :P kabhi log hamein chhodke jaate hai. . .aur ab hamein aisa karna paddh raha hai. . .haalan ki humaari zindagi mein ko madde nazar rakhte hue dekha jaaye toh in dono paristithion mein bahut antar hai :) khair jo bhi ho :) bahut kuch peechhe chhod kar door desh ki or ek yaatra. . .is yaatra ka matlab, is se laabh? Soch ti hoon ki jo chhoot raha hai, uske badle mein jo mil raha hai, kya woh santulit hai? :) Jaanu na. . .kam se kam ab tak toh nahi. . .jaakar jaan paaoon shaayad. . . :) mann mein kahi sawaal. . .kuch adhoori kahaaniyaan :) darr hai ki nayi zindagi ke bhawar mein kho na jaaon. . .pakke dor bhi kacche na ban jaaye. . .kya kar paaongi, kya nahi. . .kuch kar paaoongi bhi ya nahi. . .khud aage baddhne ke chakkar mein sab peechhe toh na chhoot jaaye :) ek or vidya paane ki chaah. . .doosri or khud ko bikharne se bachaane ki koshish. . . :) ek aur ek nayi duniya ki khushaali aur aazaadi. . .doosri aur beeti zindagi ki yaadein. . . :)

Bas, yeh ummeed hai ki sab theekh jaaye. . .mushkilon ka saamna karne ki himmat hai :) ummeed hai ise banaaye rakh paaoongi :)

Wednesday, January 13, 2010

Mann bhi tha nazuk, baawla,
Aur kismat bhi tha kuch saawla
Baar baar dhoondta wahi chehraa. . .
Par uske chaaro or tha pehraa

Jaagti ummeed toh dil jaata machal,
Aur phir use koi jaata kuchal. . .
Kabhi zakhm par daalte marham,
Par kabhi woh khud hi ban jaata ek bhram

Jannat ki maang ki toh mitti bhi naseeb na hua. . .
Khushiyon ki ameeri, phir bhi dukh ka gareeb na hua
Lavzon se toh uff tak na kiya
Socha par yeh ki main jiya ya na jiya?

Parwat ki choti dekhi, aur khaai ki gehraai bhi,
Yaar ka pyaar dekha aur sanam ki bewafaai bhi
Aasmaan mein aazaad shaayad hi parinda hoon,
Par zinda hoon, zinda hoon, zinda hoon. . . :)

Tuesday, January 12, 2010

Do kadam aage, phir ek kadam peeche. . .doosron ki baat toh na kar sakti, par itna jaano hoon ki bhai apni zindagi kahi mahino se kuch is prakaar se chal rahi hai (shukar manaati hoon ki ise paddhne waala shaayad hi koi hai :P) khair, yeh toh waqt waqt ki baat :) matlab aaj zindagi aise hai, par shaayad pehle aise na thi. . .aur aage bhi na hogi :) aage toh bahut pehle baddh chuke the hum, bas beech beech mod aa jaate hai aur hum ruk jaate hain :) mod bhi kuch is prakar ki ke kya kahein. . .ghussa toh is baat par aata hai isme humaari koi galti nahi :) ab akele safar na kar rahe hote toh baat shaayad alag thi :) par sach toh yeh hai ki ek hadd tak SAB akele safar karte hain :) bas, kuch log doosron se zyaada akele paddh jaate hain. . . :)

Ajab baat toh yeh hai kehne ko akele hota koi nahi hai :) sab mann ka khel hai :) haath baddhaakar dekhiye toh, dekhna, use thaamne log aage ZAROOR aayenge :) main yeh itne yakeen se kaise keh sakti hoon? :) Kyunki sach toh yeh hai ki haath baddhaane ke liye bada kaleja chaahiye :) badi himmat chaahiye :) Sab darr mein jeete hain, aur beech mein ahm bhi toh aa jaata hai :) kisi ke saamne galti se aansoon tapak gaye toh sharmindagi mehsoos hoti hai. . .kisi ko humaari kamzori dikh gayi toh lajjit ho jaate hain. . .dil ki aawaaz kisi ne sun li toh nazre jhuk jaati hain. . .aur koi pyaar bhari nazar se dekhe aur kareeb aa jaaye, toh use kabhi kabaar dhakka maar dete hai. . .kuch is prakaar ki woh insaan zor se gir jaata hai aur zakhmi ho jaata hai. . .

Chamatkaar ki ummeed mein bas kaatt lete hain zindagi :) haan bhai chamatkaar ho sakta hai, kyun nahi :) intezaar kar sakte ho toh. . . :)

Saturday, January 9, 2010

Kahi baar mann mein wahi pyaas jagi,
Aur use poori karne ki aas jagi
Par jab bhi woh is raah par chala,
Uska haath tha jalaa

Na tha woh koi chor
Bas door se dekhta usko,
Jaise chaand ko chakor
Aur uski khushi par jhoom utthta
Jaise baarish mein naachta mor

Dil ko sambhaala par lab na rukaa,
Jazbaat ko sambhaala toh nazar jhuka
Ho gaya tha woh bekaaboo,
Chal gaya tha us par woh jaadoo

Par haqeeqat se thi uski pehchaan,
Use paana na tha aasaan
Aur woh tha uski nazar mein anjaan
Karna tha use is sacchai ka maan

Ki woh thi falak ki hoor pari. . .
Aur woh mitti ka bana mamooli insaan :)
Aankhon mein chuban,
Saanson mein agan
Ek khooni darinde ki tarah nikal paddha,
Ek junoon sa tha us par chadhaa

Ghusse ke garmi mein,
Karna tha satyaanash
Par bevakoof yeh na dekh paaya
Ki satyaanash mein bhi hai satya ka naash

Yeh toh na thi usski iccha,
Par har bar use logon ne galat samjhaa
Isliye khud ko usne,
Ek band kamre mein sanjhoya

Baahar nikalne par use tircchi nazar se dekhte
Maano woh tha chidiyaghar se bhaaga
Lekin thi us par beddiyon ki jagah
Kuch adbhud rang ka dhaaga

Par is baar nazar oonchi karke nikla
Shama ka parwaana, deewaana, pagla
Ab bhi tha apni duniya mein magn,
Par is baar nahi tha woh nagn!
Jaane kitni door woh bhaag rahi. . .
Peeche mud kar dekhna na tha sahi. . .
Aur na jaa sakti thi baainyi ya daayi
Ek or tha kuaan, doosri or khaai

Sir bina mudaaye seedhe chali,
Haath mein liye ek nazook si kali
Dene ke liye har baar sirf ek cheez
Jo kisi ko na laga lazeez

Girke sambhalna, sambhalkar phir girna,
Maano har bar tha ek naya jharna
Mann is hi baat par jhool raha tha,
Aur saath mein saans fool raha tha

Apni haalaat par ek gaane ke do bol yaad aaye use. . .

'Manzilon se rahein dhoondti chali
Kho gayi hai manzil kahi raahon mein'. . . :)

Wednesday, January 6, 2010

Ummeed. . .us hi ke sahaare toh jee rahi thi woh. . .kehne ko toh khud ko lekar woh thodi bahut laahparwaah thi, par ab nahi. . .phoonk phoonk ke har kadam rakhti thi aaj kal :) aur rakhni bhi chaahiye :) aksar uska haath apni peitth ki or jaata :) na. . .kokh ki or :) ek taraf jab use yeh lagne laga tha ki uski zindagi khatam ho rahi thi, usi or ek naya zindagi ki shuruwaat ho rahi thi. . . :) waakayi mein ek nayi zindagi :) kehne ko toh woh kuch nahi jaanti thi us naye jeev ke baare mein. . .kuch bhi toh nahi. . .par use mehsoos kar rahi thi woh. . .har lamha. . . woh ehsaas bhi tha kitna khoobsurat :) aur usse juda hua. . .

Aur uske saath judi uski zindagi ki sabse puraani kahaani. . . :)

Sunday, January 3, 2010

Distinct, distant voices. They were talkin about sum1. . .she opened her eyes and saw familiar faces. . .n smiled :) every face she expected 2 c was there. . .but her eyes searched 4 one more. . .jus one. . .d one. . .exhausted as she was, she closed her eyes. . .jus 2 rest a bit. . .so tat she may have d strength 2 continue again. . .she knew not how long after, but she felt a gentle touch :) she didn even have 2 open her eyes 2 know who it was :) but she opened them neway. . .4 a look, tat look. . .She lay, holding his hand, nothin sd between them, yet all understood. . .as was always they always did. . .

Another face. . .dis one she disliked. . .nay, abhorred. . .n turned her face wid a strong force. . .n looked bk a li’l while later, jus 2 c if he still stood there. . .n he did. . .a sympathetic smile on his face. . .sympathetic? She didn want his sympathy. . .not his. . .n sympathy? Y was he ‘sympathetic’? She didn understand. . .there was a hint of triumph on his face tat disturbed her. . .as though callin her foolish for her beliefs. . .which beliefs? She was confused. . .n worried. . .but fell asleep soon again. . .

She woke up. . .n stepped out of her room. . .it had been a while since she last did tat. . .she looked yet again 4 d face tat lit hers. . .but dis tym, it was missin. . .she became desperate. . .frantic. . .ah, hide n seek. . .there it was :) she ran towards it. . .2 hell wid d looks ppl were givin her. . .she filled herself in his arms. . .n didn realize 4 how long. . .her eyes closed, baskin in d immense joy she was experiencin. . .n then, it was tym 2 open them. . .n ppl were still lookin. . .y did things look so wrong? She knew not. . .till her eyes fell on d mirror. . . n she saw. . .her eyes fixed on it for a considerable amt of tym. . .her eyes glistened. . .n she quitely slipped bk in. . .sat 2 herself 4 a bit, seemingly calm, but mind racin wid thots. . .n she fell asleep, yet again. . .
Kyun wahi madira baar baar pilate ho,
Zakhm khol kar use dobaara silaate ho
Ek nakhush zindagi jee rahe ho,
Aur apne ashkon ko pee rahe ho

Kyun karte ho khud par taras,
Aise toh bas beet jaayenge baras
Zindagi toh baddh jaayegi aage,
Isliye na kaso kacche dhaage

Buland karo apna haunsla,
Banaao ek naya ghonsla
Khud tei karna hai safar apni zindagi ka,
Asal mein saath hai sirf bandagi ka