Saturday, January 9, 2010

Aankhon mein chuban,
Saanson mein agan
Ek khooni darinde ki tarah nikal paddha,
Ek junoon sa tha us par chadhaa

Ghusse ke garmi mein,
Karna tha satyaanash
Par bevakoof yeh na dekh paaya
Ki satyaanash mein bhi hai satya ka naash

Yeh toh na thi usski iccha,
Par har bar use logon ne galat samjhaa
Isliye khud ko usne,
Ek band kamre mein sanjhoya

Baahar nikalne par use tircchi nazar se dekhte
Maano woh tha chidiyaghar se bhaaga
Lekin thi us par beddiyon ki jagah
Kuch adbhud rang ka dhaaga

Par is baar nazar oonchi karke nikla
Shama ka parwaana, deewaana, pagla
Ab bhi tha apni duniya mein magn,
Par is baar nahi tha woh nagn!

No comments: