Tuesday, January 12, 2010

Do kadam aage, phir ek kadam peeche. . .doosron ki baat toh na kar sakti, par itna jaano hoon ki bhai apni zindagi kahi mahino se kuch is prakaar se chal rahi hai (shukar manaati hoon ki ise paddhne waala shaayad hi koi hai :P) khair, yeh toh waqt waqt ki baat :) matlab aaj zindagi aise hai, par shaayad pehle aise na thi. . .aur aage bhi na hogi :) aage toh bahut pehle baddh chuke the hum, bas beech beech mod aa jaate hai aur hum ruk jaate hain :) mod bhi kuch is prakar ki ke kya kahein. . .ghussa toh is baat par aata hai isme humaari koi galti nahi :) ab akele safar na kar rahe hote toh baat shaayad alag thi :) par sach toh yeh hai ki ek hadd tak SAB akele safar karte hain :) bas, kuch log doosron se zyaada akele paddh jaate hain. . . :)

Ajab baat toh yeh hai kehne ko akele hota koi nahi hai :) sab mann ka khel hai :) haath baddhaakar dekhiye toh, dekhna, use thaamne log aage ZAROOR aayenge :) main yeh itne yakeen se kaise keh sakti hoon? :) Kyunki sach toh yeh hai ki haath baddhaane ke liye bada kaleja chaahiye :) badi himmat chaahiye :) Sab darr mein jeete hain, aur beech mein ahm bhi toh aa jaata hai :) kisi ke saamne galti se aansoon tapak gaye toh sharmindagi mehsoos hoti hai. . .kisi ko humaari kamzori dikh gayi toh lajjit ho jaate hain. . .dil ki aawaaz kisi ne sun li toh nazre jhuk jaati hain. . .aur koi pyaar bhari nazar se dekhe aur kareeb aa jaaye, toh use kabhi kabaar dhakka maar dete hai. . .kuch is prakaar ki woh insaan zor se gir jaata hai aur zakhmi ho jaata hai. . .

Chamatkaar ki ummeed mein bas kaatt lete hain zindagi :) haan bhai chamatkaar ho sakta hai, kyun nahi :) intezaar kar sakte ho toh. . . :)